Us Darbar Mein Lazim Tha Apne Sar Ko KHam Karte

us darbar mein lazim tha apne sar ko KHam karte

warna kam-az-kam apni aawaz hi maddham karte

is ki ana taskin nahin pati KHali lafzon se

shayad kuchh ho jata asar tum girya-e-paiham karte

sikh liya hai aaKHir hum ne ishq mein KHush KHush rahna

dard ko apni dawa banate zaKHm ko marham karte

kaam hamare hisse ke sab kar gaya tha diwana

kaun sa aisa kaam tha baqi jis ko ab hum karte

har jaane wale ko dekh ke rakh liya dil par patthar

kis kis ko rote aaKHir kis kis ka matam karte

dil to hamara jise patthar se bhi saKHt hua tha

patthar pani ho gaya sukhi aankhon ko nam karte

ban jata tiryaq usi ka zahr agar tum 'haidar'

koi aayat pyar ki paDhte aur us par dam karte

(729) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Darbar Mein Lazim Tha Apne Sar Ko KHam Karte In English By Famous Poet Haidar Qureshi. Us Darbar Mein Lazim Tha Apne Sar Ko KHam Karte is written by Haidar Qureshi. Read famous Poem Us Darbar Mein Lazim Tha Apne Sar Ko KHam Karte for youth and Student by Haidar Qureshi. Free Download Us Darbar Mein Lazim Tha Apne Sar Ko KHam Karte in PDF.