Teri Nigah-e-naz Jo Nawak-asar Na Ho

teri nigah-e-naz jo nawak-asar na ho

taklif-e-chaara-sazi-e-zaKHm-e-jigar na ho

mujh se bhi kuchh siwa hai unhen meri aarzu

ye shauq wo nahin jo udhar ho idhar na ho

main aur mujh ko wada-e-didar ki umid

wo chahta hun aaj ki jo umr bhar na ho

ai barq-e-husn-e-yar zara chashm-e-iltifat

yun jal bujhun ki mujh ko bhi meri KHabar na ho

kabe mein hai nishan na kahin dair mein pata

teri gali mein 'muztar'-e-ashufta-sar na ho

(637) Peoples Rate This

Hakeem Asad Ali Khan Muztar's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Teri Nigah-e-naz Jo Nawak-asar Na Ho In English By Famous Poet Hakeem Asad Ali Khan Muztar. Teri Nigah-e-naz Jo Nawak-asar Na Ho is written by Hakeem Asad Ali Khan Muztar. Read famous Poem Teri Nigah-e-naz Jo Nawak-asar Na Ho for youth and Student by Hakeem Asad Ali Khan Muztar. Free Download Teri Nigah-e-naz Jo Nawak-asar Na Ho in PDF.