Aziyyaton Ko Kisi Tarah Kam Na Kar Paya

aziyyaton ko kisi tarah kam na kar paya

mein apne hath abhi tak qalam na kar paya

hawale lakh dalil ek bhi na de shayad

nazar mein kyun kisi manzar ko zam na kar paya

hai be-tarash abhi dast-e-zehn mein ek naqsh

ki is ke rang ko main ham-qalam na kar paya

hai sharm tishna-labi us ki jis se bujh jati

mein itna KHun-e-jigar kyun baham na kar paya

tahi-e-samar mere daman ko hi Thaharna tha

main mausamon ke qaside raqam na kar paya

tarawaton se bhara lafz dars hai jis ka

isi se KHud ko abhi tak wo kam na kar paya

sawal-e-sang tha sarzad pa tha mera manzur

main chup raha ki main KHud par sitam na kar paya

(821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aziyyaton Ko Kisi Tarah Kam Na Kar Paya In English By Famous Poet Hakeem Manzoor. Aziyyaton Ko Kisi Tarah Kam Na Kar Paya is written by Hakeem Manzoor. Read famous Poem Aziyyaton Ko Kisi Tarah Kam Na Kar Paya for youth and Student by Hakeem Manzoor. Free Download Aziyyaton Ko Kisi Tarah Kam Na Kar Paya in PDF.