Apni Nazar Se TuT Kar Apni Nazar Mein Gum Hua

apni nazar se TuT kar apni nazar mein gum hua

wo baDa ba-shuur tha apne hi ghar mein gum hua

marg-zada the rang sab aaine pusht-e-chashm the

ek wahi dard-mand tha KHauf-o-KHatar mein gum hua

raste aaine bane panw tamam rang the

is pe bhi ye sawal wo kaise safar mein gum hua

soch hawas mein na thi aankh hudud mein na thi

peD hawa mein uD gae sanp khanDar mein gum hua

har KHabar us se thi KHabar aur wo be-panah tha

harf-zada hua to phir ek KHabar mein gum hua

mauj-e-shafaq sarab thi marg-e-nazar KHayal tha

daera aab par raha nuqta bhanwar mein gum hua

mujh mein the jitne aib wo mere qalam ne likh diye

mujh mein tha jitna husn wo mere hunar mein gum hua

(796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Nazar Se TuT Kar Apni Nazar Mein Gum Hua In English By Famous Poet Hakeem Manzoor. Apni Nazar Se TuT Kar Apni Nazar Mein Gum Hua is written by Hakeem Manzoor. Read famous Poem Apni Nazar Se TuT Kar Apni Nazar Mein Gum Hua for youth and Student by Hakeem Manzoor. Free Download Apni Nazar Se TuT Kar Apni Nazar Mein Gum Hua in PDF.