Ajab Sahra Badan Par Aab Ka Ibham Rakkha Hai

ajab sahra badan par aab ka ibham rakkha hai

ye kis ne is samundar ka samundar nam rakkha hai

wahi ek din shahadat dega meri be-gunahi ki

wo jis ne qatl-e-gul ka mere sar ilzam rakkha hai

main tum se puchhta hun jhil-dal ki be-zaban maujo

tah-e-daman chhupa kar tum ne kya paigham rakkha hai

kabhi baadal mere aangan utarta puchhta main bhi

kuhistan par barasna kis ne tera kaam rakkha hai

raha hoga wo kitna dil ghani dast-e-saKHi jis ne

junun ki mumlikat ka ek patthar dam rakkha hai

yahi na phul se bichhDe to aawara hon sahra mein

kahun kya kis ne KHushbuon ka ye anjam rakha hai

mujhe manzur wo aqdar bhi radd sab karen jin ko

kisi ne soch kar 'manzur' mera nam rakha hai

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajab Sahra Badan Par Aab Ka Ibham Rakkha Hai In English By Famous Poet Hakeem Manzoor. Ajab Sahra Badan Par Aab Ka Ibham Rakkha Hai is written by Hakeem Manzoor. Read famous Poem Ajab Sahra Badan Par Aab Ka Ibham Rakkha Hai for youth and Student by Hakeem Manzoor. Free Download Ajab Sahra Badan Par Aab Ka Ibham Rakkha Hai in PDF.