Aage Pichhe Us Ka Apna Saya Lahraata Raha

aage pichhe us ka apna saya lahraata raha

KHauf se us shaKHs ka chehra sada pila raha

subh ko dekha to wo mujh se tha bilkul ajnabi

raat bhar jo jism ke andar mujhe takta raha

kaisa diwana tha sab kuchh jaan kar anjaan tha

har kisi se wo gale milta raha rota raha

ye KHata meri thi tujh ko main ne pahchana nahin

aaine mein jaane mujh ko kya nazar aata raha

KHud-numai ke liye tarkib thi achchhi bahut

log sab KHamosh the wo kuchh na kuchh kahta raha

hum ne diwaron pe us ko kar diya chaspan magar

apne ghar mein wo baDe aaram se soya raha

sab barhana-tan hue 'manzur' jab mahfil ki jaan

apne ghar mein chhup ke KHamoshi se main baiTha raha

(726) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aage Pichhe Us Ka Apna Saya Lahraata Raha In English By Famous Poet Hakeem Manzoor. Aage Pichhe Us Ka Apna Saya Lahraata Raha is written by Hakeem Manzoor. Read famous Poem Aage Pichhe Us Ka Apna Saya Lahraata Raha for youth and Student by Hakeem Manzoor. Free Download Aage Pichhe Us Ka Apna Saya Lahraata Raha in PDF.