Aag Jo Bahar Hai Pahunchegi Andar Bhi

aag jo bahar hai pahunchegi andar bhi

sae jal jaenge aur phir paikar bhi

teri aankhon mein aansu bhi dekhe hain

tere hathon mein dekha hai KHanjar bhi

parakh hai to mujh ko parakh hushyari se

main ek gauhar bhi hun main ek patthar bhi

KHwabon mein bhi rahta hun bechain bahut

chain nahin milta hai mujh ko so kar bhi

kab tak jang laDega tere suraj se

sukhega ek din aaKHir ye sagar bhi

shafaq-e-sham ka din bhar tha arman mujhe

KHun-aluda nikla hai ye manzar bhi

phul ki pati bhi hai bar mujhe 'manzur'

dekhoge to lagta hun ek patthar bhi

(808) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aag Jo Bahar Hai Pahunchegi Andar Bhi In English By Famous Poet Hakeem Manzoor. Aag Jo Bahar Hai Pahunchegi Andar Bhi is written by Hakeem Manzoor. Read famous Poem Aag Jo Bahar Hai Pahunchegi Andar Bhi for youth and Student by Hakeem Manzoor. Free Download Aag Jo Bahar Hai Pahunchegi Andar Bhi in PDF.