Har Ek Aankh Ko Kuchh TuTe KHwab De Ke Gaya

har ek aankh ko kuchh TuTe KHwab de ke gaya

wo zindagi ko ye kaisa azab de ke gaya

na de saka mujhe wusat samundaron ki magar

samundaron ka mujhe iztirab de ke gaya

wo kis liye mera dushman tha jaane kaun tha wo

jo aankh aankh musalsal sarab de ke gaya

KHala ke nam ata kar ke chhanw ki miras

mujhe wo jalta hua aaftab de ke gaya

wo peD unchi chaTanon pe ab bhi tanha hain

unhi ko sari mata-e-sahab de ke gaya

har ek lafz mein rakh kar sarab mani ka

har ek hath mein wo ek kitab de ke gaya

main kul hun aur tu juz mein bhi kul hai ai 'manzur'

bichhaDte waqt mujhe ye KHitab de ke gaya

(1885) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Aankh Ko Kuchh TuTe KHwab De Ke Gaya In English By Famous Poet Hakeem Manzoor. Har Ek Aankh Ko Kuchh TuTe KHwab De Ke Gaya is written by Hakeem Manzoor. Read famous Poem Har Ek Aankh Ko Kuchh TuTe KHwab De Ke Gaya for youth and Student by Hakeem Manzoor. Free Download Har Ek Aankh Ko Kuchh TuTe KHwab De Ke Gaya in PDF.