Hai Iztirab Har Ek Rang Ko Bikharne Ka

hai iztirab har ek rang ko bikharne ka

ki aaftab nahin raat bhar Thaharne ka

mujassame ki tarah mausamon ko sahta hai

wo muntazir hai koi hadsa guzarne ka

laTakte sukhte ye naqsh yunhi roenge

guzar gaya hai jo mausam tha rang bharne ka

wo aaine se agar ho gaya hai be-parwa

jawaz kya hai use phir kisi se Darne ka

giregi kal bhi yahi dhup aur yahi shabnam

is aasman se nahin aur kuchh utarne ka

ab aag aag hai nile pahaD ka manzar

hamein tha shauq bahut us ke par utarne ka

agarche us ki har ek baat khurduri hai bahut

mujhe pasand hai Dhang us ke baat karne ka

diya hai jis ne bhi chup ka sharap lafzon ko

use KHabar hai nahin lafz koi marne ka

hamein KHabar hai hamare safar ki ai 'manzur'

kahenge hum hi na hai rasta sanwarne ka

(895) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Iztirab Har Ek Rang Ko Bikharne Ka In English By Famous Poet Hakeem Manzoor. Hai Iztirab Har Ek Rang Ko Bikharne Ka is written by Hakeem Manzoor. Read famous Poem Hai Iztirab Har Ek Rang Ko Bikharne Ka for youth and Student by Hakeem Manzoor. Free Download Hai Iztirab Har Ek Rang Ko Bikharne Ka in PDF.