Dhal Gaya Jism Mein Aaine Mein Patthar Mein Kabhi

Dhal gaya jism mein aaine mein patthar mein kabhi

chhup saka main na kisi rang ke paikar mein kabhi

main yahi nuqta-e-mauhum rahunga na sada

main jhalak uTThunga aaKHir kisi manzar mein kabhi

wo samundar ki baDai se hai marub ki wo

tishna-lab ban ke raha hai na samundar mein kabhi

tujh pe khul jaenge KHud apne bhi asrar kai

tu zara mujh ko bhi rakh apne barabar mein kabhi

dekhte hain dar-o-diwar harifana mujhe

itna be-bas bhi kahan hoga koi ghar mein kabhi

asl mein kuchh bhi na tha chand lakiron ke siwa

hum bhi rakhte the yaqin harf-e-muqaddar mein kabhi

us se kya puchhte hum apne maani 'manzur'

phul khilte nahin dekhe kisi banjar mein kabhi

(847) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhal Gaya Jism Mein Aaine Mein Patthar Mein Kabhi In English By Famous Poet Hakeem Manzoor. Dhal Gaya Jism Mein Aaine Mein Patthar Mein Kabhi is written by Hakeem Manzoor. Read famous Poem Dhal Gaya Jism Mein Aaine Mein Patthar Mein Kabhi for youth and Student by Hakeem Manzoor. Free Download Dhal Gaya Jism Mein Aaine Mein Patthar Mein Kabhi in PDF.