ChhoD Kar Mujhko Kahin Phir Usne Kuchh Socha Na Ho

chhoD kar mujh ko kahin phir us ne kuchh socha na ho

main zara dekhun wo agle moD par Thahra na ho

main bhi ek patthar liye tha buz-dilon ki bhiD mein

aur ab ye Dar hai us ne mujh ko pahchana na ho

hum kisi bahrupiye ko jaan len mushkil nahin

us ko kya pahchaniye jis ka koi chehra na ho

us ko alfaz-o-maani ka tasadum kha gaya

ab wo yun chup hai ki jaise muddaton bola na ho

dandnata yun phire hai shahr ki saDkon pe wo

jaise pure shahr mein koi bhi aaina na ho

log kahte hain abhi tak hai wo sargarm-e-safar

mujh ko andesha kahin wo rah mein soya na ho

mujh ko ai 'manzur' yun mahsus hota hai kabhi

jaise sab apne hon jaise koi bhi apna na ho

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ChhoD Kar Mujhko Kahin Phir Usne Kuchh Socha Na Ho In English By Famous Poet Hakeem Manzoor. ChhoD Kar Mujhko Kahin Phir Usne Kuchh Socha Na Ho is written by Hakeem Manzoor. Read famous Poem ChhoD Kar Mujhko Kahin Phir Usne Kuchh Socha Na Ho for youth and Student by Hakeem Manzoor. Free Download ChhoD Kar Mujhko Kahin Phir Usne Kuchh Socha Na Ho in PDF.