ChhoD Kar Bar-e-sada Wo Be-sada Ho Jaega

chhoD kar bar-e-sada wo be-sada ho jaega

wahm tha mera ki patthar aaina ho jaega

main baDa masum tha mujh ko KHabar bilkul na thi

mere chhu lete hi wo mera KHuda ho jaega

daera-dar-daera hai sabz jangal surKH aag

kab hawa jage ye manzar kab hawa ho jaega

be-murawwat raston se be-KHabar shayad hai wo

phir kahin par mera us ka samna ho jaega

sat rangon ki jabin par wo likhega apna nam

jab wo apne rang ka aks aashna ho jaega

aaftab us raaz se na-ashna shayad nahin

qaid-e-mehwar se kisi din ye riha ho jaega

hath mein le kar qalam 'manzur' ye socha nahin

karobar-e-lafz mein kya faeda ho jaega

(863) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ChhoD Kar Bar-e-sada Wo Be-sada Ho Jaega In English By Famous Poet Hakeem Manzoor. ChhoD Kar Bar-e-sada Wo Be-sada Ho Jaega is written by Hakeem Manzoor. Read famous Poem ChhoD Kar Bar-e-sada Wo Be-sada Ho Jaega for youth and Student by Hakeem Manzoor. Free Download ChhoD Kar Bar-e-sada Wo Be-sada Ho Jaega in PDF.