Mere Samne Mere Ghar Ka Pura Naqsha Bikhra Hai

mere samne mere ghar ka pura naqsha bikhra hai

kash koi aisa hota jo dekhe kya kya bikhra hai

main ne chaha bite barson ko bhi muTThi mein bhar lun

is koshish mein mere aaj ka lamha lamha bikhra hai

pahle us ke sae ke rasiya log the ab ye kahte hain

ye bhi koi peD hai jis ka patta patta bikhra hai

shayad aise hi be-manzil rahna apni qismat hai

hum kis raste ko apnaen har ek rasta bikhra hai

is ki kya tabir karun main kuchh tu hi samjha 'manzur'

main ne KHwab mein dekha sahra mein ek dariya bikhra hai

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Samne Mere Ghar Ka Pura Naqsha Bikhra Hai In English By Famous Poet Hakeem Manzoor. Mere Samne Mere Ghar Ka Pura Naqsha Bikhra Hai is written by Hakeem Manzoor. Read famous Poem Mere Samne Mere Ghar Ka Pura Naqsha Bikhra Hai for youth and Student by Hakeem Manzoor. Free Download Mere Samne Mere Ghar Ka Pura Naqsha Bikhra Hai in PDF.