Kuchh Samajh Aaya Na Aaya Maine Socha Hai Use

kuchh samajh aaya na aaya main ne socha hai use

zehn par us ko utara dil pe likkha hai use

in dinon is shahr mein ek fasl-e-KHun ka raqs hai

hum bahut be-bas hue hain, main ne likkha hai use

dhup ne hans kar kaha dekha tujhe pighla diya

barf kya kahti nafasat ne Duboya hai use

bagh mein hona hi shayad seb ki pahchan thi

ab ki wo bazar mein hai ab to bikna hai use

kal bhare baadal mein kya rangon ka darwaza khula

mujh ko kal tak tha ye dawa main ne samjha hai use

ek shai jis ko umuman sirf dil kahte hain log

mar gaya hota magar main ne bachaya hai use

karb dil ka mere lab par aaega 'manzur' kya

main ne KHun-e-dil se kaghaz par utara hai use

(813) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Samajh Aaya Na Aaya Maine Socha Hai Use In English By Famous Poet Hakeem Manzoor. Kuchh Samajh Aaya Na Aaya Maine Socha Hai Use is written by Hakeem Manzoor. Read famous Poem Kuchh Samajh Aaya Na Aaya Maine Socha Hai Use for youth and Student by Hakeem Manzoor. Free Download Kuchh Samajh Aaya Na Aaya Maine Socha Hai Use in PDF.