Wo Jo Ab Tak Lams Hai Us Lams Ka Paikar Bane

wo jo ab tak lams hai us lams ka paikar bane

meri KHwahish bhi ajab hai aaina patthar bane

ek hisar-e-rang mein bas sochta rahta hun main

kis tarah aandhi hawa ki zad pe koi ghar bane

raste panw banen to kaise tai hon raste

nind kaise aaegi jab jism hi bistar bane

KHun-baha kis se talab ho kis ko qatil maniye

aap apni soch hi jab zahr ka KHanjar bane

qatl ho jab tak na suraj ka khilegi kaise sham

rang hi bikhre na to kaise koi manzar bane

ek muddat samna KHud jin ko andhe-pan ka tha

raushni milte hi KHud aankhon ke sauda-gar bane

KHun-e-dil mein Dub jaega to lab par aaega

jis ko main likhun wahi 'manzur' harf-e-tar bane

(885) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Jo Ab Tak Lams Hai Us Lams Ka Paikar Bane In English By Famous Poet Hakeem Manzoor. Wo Jo Ab Tak Lams Hai Us Lams Ka Paikar Bane is written by Hakeem Manzoor. Read famous Poem Wo Jo Ab Tak Lams Hai Us Lams Ka Paikar Bane for youth and Student by Hakeem Manzoor. Free Download Wo Jo Ab Tak Lams Hai Us Lams Ka Paikar Bane in PDF.