TuT Kar Bikhre Na Suraj Bhi Hai Mujhko Dar Bahut

TuT kar bikhre na suraj bhi hai mujh ko Dar bahut

habs andar se ziyaada aaj hai bahar bahut

mujh ko bhi aata hai fan sahib-nawazi ka magar

kya karun meri ana mujh se bhi hai KHud-sar bahut

gham-zada karti hai mujh ko bas darun-bini meri

yun to main bhi dekhta hun KHushnuma manzar bahut

apni aankhen ghar pe rakh kar bhi tamashai hain log

aur un ki is ada par KHush hain bazigar bahut

ab tarasha hi nahin jata kabhi paikar koi

aaj bhi aazar bahut hain aaj bhi patthar bahut

main kisi ki be-ghari ka kis liye matam karun

zindagi KHud aaj lagti hai mujhe be-ghar bahut

gul-parasti par na kar israr ai 'manzur' tu

dekh har ek moD par hain shahr mein patthar bahut

(872) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TuT Kar Bikhre Na Suraj Bhi Hai Mujhko Dar Bahut In English By Famous Poet Hakeem Manzoor. TuT Kar Bikhre Na Suraj Bhi Hai Mujhko Dar Bahut is written by Hakeem Manzoor. Read famous Poem TuT Kar Bikhre Na Suraj Bhi Hai Mujhko Dar Bahut for youth and Student by Hakeem Manzoor. Free Download TuT Kar Bikhre Na Suraj Bhi Hai Mujhko Dar Bahut in PDF.