Is Rah-e-mohabbat Mein To Aazar Mile Hain

is rah-e-mohabbat mein to aazar mile hain

phulon ki tamanna thi magar KHar mile hain

anmol jo insan tha wo kauDi mein bika hai

duniya ke kai aise bhi bazar mile hain

jis ne bhi mujhe dekha hai patthar se nawaza

wo kaun hain phulon ke jinhen haar mile hain

malik ye diya aaj hawaon se bachana

mausam hai ajab aandhi ke aasar mile hain

duniya mein faqat ek zuleKHa hi nahin thi

har yusuf-e-sani ke KHaridar mile hain

ab un ke na milne ki shikayat na gila hai

hum jab bhi mile KHud se to be-zar mile hain

'nasir' ye tamanna thi mohabbat se milenge

wo jab bhi mile bar-sar-e-paikar mile hain

(952) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Rah-e-mohabbat Mein To Aazar Mile Hain In English By Famous Poet Hakeem Nasir. Is Rah-e-mohabbat Mein To Aazar Mile Hain is written by Hakeem Nasir. Read famous Poem Is Rah-e-mohabbat Mein To Aazar Mile Hain for youth and Student by Hakeem Nasir. Free Download Is Rah-e-mohabbat Mein To Aazar Mile Hain in PDF.