Charcha Hamara Ishq Ne Kyun Ja-ba-ja Kiya

charcha hamara ishq ne kyun ja-ba-ja kiya

dil us ko de diya to bhala kya bura kya

ab kholiye kitab-e-nasihat ko shaiKH phir

shab mai-kade mein aap ne jo kuchh kiya kiya

wo KHwab-e-naz mein the mera dida-e-niyaz

dekha kiya aur un ki balaen liya kiya

roz-e-azal se ta-ba-abad apni jaib ka

tha ek chaak jis ko main baiTha siya kiya

dekhe jo dagh daman-e-isyan pe be-shumar

main ne bhi josh-e-girya se tufan bapa kiya

gum-karda rah aae hain wo aaj mere ghar

ai meri aah-e-nim-shabi tu ne kya kiya

kya puchhte ho dast-e-qanaat ki kotahi

kuchh wa shab-e-visal mein band qaba kiya

lazzat hi thi kuchh aisi ki chhoDa na sabr ko

karte rahe wo jaur-o-sitam main saha kiya

kya shai thi wo jo aankh se dil mein utar gai

dil se uThi to ashk ka tufan bapa kiya

phir le chala hai kal mujhe kyun bazm-e-yar mein

ijad us ne kya koi tarz-e-jafa kiya

'shaida' ghazal paDho koi majlis mein dusri

ek paDh ke rah gae to bhala tum ne kya kiya

(859) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charcha Hamara Ishq Ne Kyun Ja-ba-ja Kiya In English By Famous Poet Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida. Charcha Hamara Ishq Ne Kyun Ja-ba-ja Kiya is written by Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida. Read famous Poem Charcha Hamara Ishq Ne Kyun Ja-ba-ja Kiya for youth and Student by Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida. Free Download Charcha Hamara Ishq Ne Kyun Ja-ba-ja Kiya in PDF.