Dard Ko Rahne Bhi De Dil Mein Dawa Ho Jaegi

dard ko rahne bhi de dil mein dawa ho jaegi

maut aaegi to ai hamdam shifa ho jaegi

hogi jab nalon ki apne zer gardun baz-gasht

mere dard-e-dil ki shohrat ja-ba-ja ho jaegi

ku-e-jaanan mein use hai sajda-rezi ka jo shauq

meri peshani rahin-e-naqsh-e-pa ho jaegi

kakul-e-pechan haTa kar ruKH se aao samne

parda-dar-e-husn mahfil mein ziya ho jaegi

jab ye samjhunga ki meri zist hai mamnun-e-marg

maut meri zindagi ka aasra ho jaegi

intizar-e-wasl karna umr bhar mumkin to hai

go nahin malum haalat kya se kya ho jaegi

mohtasib aur hum hain donon muttafiq is bab mein

barmala jo mai-kashi ho be-riya ho jaegi

main abhi se jaan de dunga jo rah-e-ishq mein

intiha majnun ki meri ibtida ho jaegi

fash raaz-e-dil nahin karta magar ye Dar to hai

be-KHudi mein aah lab se aashna ho jaegi

baryab-e-KHwab-gah-e-naz hone do use

un ki zulfon mein pareshan KHud saba ho jaegi

maqsad-e-ulfat ko kar lo pahle 'shaida' dil-nashin

warna har aah-o-fughan be-muddaa ho jaegi

(1072) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard Ko Rahne Bhi De Dil Mein Dawa Ho Jaegi In English By Famous Poet Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida. Dard Ko Rahne Bhi De Dil Mein Dawa Ho Jaegi is written by Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida. Read famous Poem Dard Ko Rahne Bhi De Dil Mein Dawa Ho Jaegi for youth and Student by Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida. Free Download Dard Ko Rahne Bhi De Dil Mein Dawa Ho Jaegi in PDF.