Gudaz-e-dil Se Parwana Hua KHak

gudaz-e-dil se parwana hua KHak

jiya be-soz mein to kya jiya KHak

kisi ke KHun-e-nahaq ki hai surKHi

rangengi dast-e-qatil ko hina KHak

nigah mein sharm ke badle hai shoKHi

khule phir raat ka kya majra KHak

labon tak aa nahin sakta to phir main

kahun kya apne dil ka muddaa KHak

bulandi se hai us ki Dar ki ek roz

karegi aashiyan barq-e-bala KHak

na dekha jin ka chehra gard-alud

paDi hai un pe ab be-intiha KHak

bayaban mein phira karte hain 'shaida'

haqiqat mein hai ulfat ki dawa KHak

(824) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gudaz-e-dil Se Parwana Hua KHak In English By Famous Poet Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida. Gudaz-e-dil Se Parwana Hua KHak is written by Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida. Read famous Poem Gudaz-e-dil Se Parwana Hua KHak for youth and Student by Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida. Free Download Gudaz-e-dil Se Parwana Hua KHak in PDF.