Mariz-e-ishq Ki Juz-marg Duniya Mein Dawa Kyun Ho

mariz-e-ishq ki juz-marg duniya mein dawa kyun ho

agar jaan ho aziz apni to jaanan par fida kyun ho

uThe jo aag sine se daba dun us ko ashkon se

shab-e-hijran mein nala se mera lab aashna kyun ho

milo KHalwat mein aur do tum mujhe dars-e-shakebai

karam tum mein na ho to dil mera sabr-azma kyun ho

chale jab tak zaban jari ho us par dastan-e-gham

tawanai tere bimar ki sarf-e-dua kyun ho

bhala tu aur ghar aae mere kyun-kar yaqin kar lun

taKHayyul kyun na ho mera teri aawaz-e-pa kyun ho

agar baKHt-e-rasa ne rahbari ki teri KHalwat tak

to phir dast-e-tamanna rehn-e-daman-e-qaba kyun ho

mere KHun aur hina mein der se baham raqabat hai

na ho gar rang-e-KHun pa mein to phir rang-e-hina kyun ho

qayamat ek din aai hai is mein shak nahin 'shaida'

khaDa ho bazm se jab wo qayamat phir bapa kyun ho

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mariz-e-ishq Ki Juz-marg Duniya Mein Dawa Kyun Ho In English By Famous Poet Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida. Mariz-e-ishq Ki Juz-marg Duniya Mein Dawa Kyun Ho is written by Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida. Read famous Poem Mariz-e-ishq Ki Juz-marg Duniya Mein Dawa Kyun Ho for youth and Student by Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida. Free Download Mariz-e-ishq Ki Juz-marg Duniya Mein Dawa Kyun Ho in PDF.