Kuchh Baat Hi Thi Aisi Ki Thame Jigar Gae

kuchh baat hi thi aisi ki thame jigar gae

hum aur jate bazm-e-adu mein magar gae

ye to KHabar nahin ki kahan aur kidhar gae

lekin yahan se dur kuchh ahl-e-safar gae

arman jo hum ne jama kiye the shabab mein

piri mein wo KHuda ko KHabar hai kidhar gae

rutba buland hai mere daghon ka is qadar

main hun zamin pe dagh mere ta-qamar gae

ruKHsar par hai rang-e-haya ka farogh aaj

bose ka nam main ne liya wo nikhar gae

duniya bas is se aur zyaada nahin hai kuchh

kuchh rose hain guzarne aur kuchh guzar gae

jaane laga hai dil ki taraf un ka hath ab

nale shab-e-firaq ke kuchh kaam kar gae

hasrat ka ye maza hai ki nikle nahin kabhi

arman nahin hain wo ki shab aae sahar gae

bas ek zat hazrat-e-'shaida' ki hai yahan

dehli se rafta rafta sab ahl-e-hunar gae

(939) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Baat Hi Thi Aisi Ki Thame Jigar Gae In English By Famous Poet Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida. Kuchh Baat Hi Thi Aisi Ki Thame Jigar Gae is written by Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida. Read famous Poem Kuchh Baat Hi Thi Aisi Ki Thame Jigar Gae for youth and Student by Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida. Free Download Kuchh Baat Hi Thi Aisi Ki Thame Jigar Gae in PDF.