Phirta Rahta Hun Main Har Lahza Pas-e-jam-e-sharab

phirta rahta hun main har lahza pas-e-jam-e-sharab

mujh ko bad-nam karegi hawas-e-jam-e-sharab

qafila aish ka tayyar hai rindon ke liye

qulqul-e-shisha-e-mai hai jaras-e-jam-e-sharab

jumbish-e-baad-e-sahar se hai tamawwuj mai mein

quwwat-e-jaan-e-hazin hai nafas-e-jam-e-sharab

KHam lunDha dun to na chakrae kabhi sar mera

ek jura mein gaya bul-hawas-e-jam-e-sharab

mujh se puchho asar-e-baada-e-gul-gun waiz

main hun rindon mein bahut nukta-ras-e-jam-e-sharab

TikTiki bandh ke dekha kiya itna ki bana

saya-e-mardum-e-dida magas-e-jam-e-sharab

mai na ho bu hi sahi kuchh to ho rindon ke liye

isi hile se bujhegi hawas-e-jam-e-sharab

zulf-e-mushkin ke liye bu jo chali aati hai

hai nasim-e-sahari ham-nafas-e-jam-e-sharab

hum ne rindon ka maqula ye suna hai 'shaida'

sohbat-e-aish mein zahid hai KHas-e-jam-e-sharab

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phirta Rahta Hun Main Har Lahza Pas-e-jam-e-sharab In English By Famous Poet Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida. Phirta Rahta Hun Main Har Lahza Pas-e-jam-e-sharab is written by Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida. Read famous Poem Phirta Rahta Hun Main Har Lahza Pas-e-jam-e-sharab for youth and Student by Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida. Free Download Phirta Rahta Hun Main Har Lahza Pas-e-jam-e-sharab in PDF.