ChhaTi Hai Rah Se Gard-e-malal Mere Liye

chhaTi hai rah se gard-e-malal mere liye

ki jhumti hai hawa Dal Dal mere liye

hua hai kya karun jina muhaal mere liye

mere hi shahr se mujh ko nikal mere liye

koi bhi kaam nahin ho saka hai fursat mein

ki kam paDe hain bahut mah-o-sal mere liye

wo kaun hai jo meri aarti utarega

saja ke rakkha hai kis ne ye thaal mere liye

main phunk phunk ke chalta hun rah mein us ki

qadam qadam pe bichhae hain jal mere liye

kahin pe ho gae pazhmurda phul aangan mein

hua hai sabza kahin paemal mere liye

khula ye raaz rihai ke baad hi mujh par

banaya us ne mujhe yarghamal mere liye

mera dimagh hai mauf dil udas bahut

hua hai jism bhi mera niDhaal mere liye

hue hain raste masdud kyun mere 'hamdam'

junub mere liye tha shumal mere liye

(726) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ChhaTi Hai Rah Se Gard-e-malal Mere Liye In English By Famous Poet Hamdam Kashmiri. ChhaTi Hai Rah Se Gard-e-malal Mere Liye is written by Hamdam Kashmiri. Read famous Poem ChhaTi Hai Rah Se Gard-e-malal Mere Liye for youth and Student by Hamdam Kashmiri. Free Download ChhaTi Hai Rah Se Gard-e-malal Mere Liye in PDF.