Ek Qatra Na Kahin KHun Ka Baha Mere Baad

ek qatra na kahin KHun ka baha mere baad

zang-alud hui tegh-e-jafa mere baad

kyun har ek moD pe hota hai ghuTan ka ehsas

tang kyun hone lagi meri faza mere baad

dekhte dekhte hi mand paDe shams-o-qamar

KHud se bezar hue subh-o-masa mere baad

har taraf zardi-e-ruKHsar nazar aati hai

kahin raushan na mila rang-e-hina mere baad

ruk gaya qafila-e-umr-e-subuk-rau shayad

dekh KHamosh hai aawaz-e-dara mere baad

zindagi bhar na kiya yaad kisi ne aur ab

puchhte hain wo mere ghar ka pata mere baad

umr bhar us ko sambhaale hue rakkha main ne

gir na jae kahin diwar-e-ana mere baad

ab bhi kya is mein hai aabaad syahi 'hamdam'

mere virane ka kya haal hua mere baad

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Qatra Na Kahin KHun Ka Baha Mere Baad In English By Famous Poet Hamdam Kashmiri. Ek Qatra Na Kahin KHun Ka Baha Mere Baad is written by Hamdam Kashmiri. Read famous Poem Ek Qatra Na Kahin KHun Ka Baha Mere Baad for youth and Student by Hamdam Kashmiri. Free Download Ek Qatra Na Kahin KHun Ka Baha Mere Baad in PDF.