Hua Hai Samne Aankhon Ke KHandan Aabaad

hua hai samne aankhon ke KHandan aabaad

makan mein hi hue hain kai makan aabaad

tumhaari yaad mein aabaad jism-o-jaan mere

tumhaare zikr se hai meri dastan aabaad

ujaD gai hai har ek samt mausam-e-gul mein

na baghban hai salamat na gulistan aabaad

koi payam na koi ata pata un ka

koi batae kahan par hain raftagan aabaad

ajib juzw hai ye mere jism ka ki yahan

kahin yaqin hai qaem kahin guman aabaad

yahi dua hai meri aur yahi tamanna hai

sada rahe meri wadi yahan wahan aabaad

koi bhi faisla hoga nahin rahe jab tak

tumhaari tegh salamat meri sinan aabaad

(757) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hua Hai Samne Aankhon Ke KHandan Aabaad In English By Famous Poet Hamdam Kashmiri. Hua Hai Samne Aankhon Ke KHandan Aabaad is written by Hamdam Kashmiri. Read famous Poem Hua Hai Samne Aankhon Ke KHandan Aabaad for youth and Student by Hamdam Kashmiri. Free Download Hua Hai Samne Aankhon Ke KHandan Aabaad in PDF.