Hum Apne Aapko Phir Aazma Ke Dekhenge

hum apne aap ko phir aazma ke dekhenge

jala ke dekh liya ab bujha ke dekhenge

nae sire se karen apni zindagi aaghaz

nai zamin pe naya ghar bana ke dekhenge

karega sath hamare suluk wo kaisa

kisi ko taKHt pe apne biTha ke dekhenge

dikhai dega siyah-o-safed rahon mein

hum apni aankh ki lau ko baDha ke dekhenge

guzarni hai bahar-haal zindagi apni

kama ke dekh liya ab ganwa ke dekhenge

zarur dad milegi ghazal ho kaisi bhi

mushaere mein chalo hum bhi ga ke dekhenge

(960) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Apne Aapko Phir Aazma Ke Dekhenge In English By Famous Poet Hamdam Kashmiri. Hum Apne Aapko Phir Aazma Ke Dekhenge is written by Hamdam Kashmiri. Read famous Poem Hum Apne Aapko Phir Aazma Ke Dekhenge for youth and Student by Hamdam Kashmiri. Free Download Hum Apne Aapko Phir Aazma Ke Dekhenge in PDF.