Kaam Aasan Hai Magar Dekhiye Dushwar Bhi Hai

kaam aasan hai magar dekhiye dushwar bhi hai

aage darwaze ke rakkhi hui diwar bhi hai

dene wale se mujhe koi shikayat kyun hai

rah mein dhup bhi hai saya-e-ashjar bhi hai

qatl kar ke jo mujhe sae mein phenk aaya hai

log kahte hain wahi mera taraf-dar bhi hai

tujh ko bas apni hi taswir nazar aati hai

aaine mein kahin hairat kahin zangar bhi hai

kyun bhala waqt ka nuqsan karoge pyare

jo yahan ab hai tamasha wahi us par bhi hai

mere aaba se mujhe kya na mila hai 'hamdam'

taq mein dekhiye mushaf bhi hai talwar bhi hai

(807) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaam Aasan Hai Magar Dekhiye Dushwar Bhi Hai In English By Famous Poet Hamdam Kashmiri. Kaam Aasan Hai Magar Dekhiye Dushwar Bhi Hai is written by Hamdam Kashmiri. Read famous Poem Kaam Aasan Hai Magar Dekhiye Dushwar Bhi Hai for youth and Student by Hamdam Kashmiri. Free Download Kaam Aasan Hai Magar Dekhiye Dushwar Bhi Hai in PDF.