Uske Karam Se Hai Na Tumhaari Nazar Se Hai

us ke karam se hai na tumhaari nazar se hai

mausam dilon ka dard ke raushan shajar se hai

jis se mere wajud ke pahlu ayan hue

shayad mera moamla us ke hunar se hai

hail hua na koi talluq ki rah mein

daim tamam silsila bint-e-sahar se hai

aaya na wo haram mein imamat ke waste

kuchh rabt hi ajib use apne ghar se hai

apni gali mein nasb hai wo sang-e-be-nawa

kahte hain garche wasta us ko safar se hai

us ke siwa na dil ki hikayat koi paDhe

mansub meri dastan ek dida-war se hai

mahsus kis tarah ho mujhe dhup ka azab

'almas' karobar mera baad-e-tar se hai

(994) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uske Karam Se Hai Na Tumhaari Nazar Se Hai In English By Famous Poet Hameed Almas. Uske Karam Se Hai Na Tumhaari Nazar Se Hai is written by Hameed Almas. Read famous Poem Uske Karam Se Hai Na Tumhaari Nazar Se Hai for youth and Student by Hameed Almas. Free Download Uske Karam Se Hai Na Tumhaari Nazar Se Hai in PDF.