Qubul Kar Ke Tera Gham KHushi KHushi Maine

qubul kar ke tera gham KHushi KHushi main ne

tere jamal ko baKHshi hai zindagi main ne

bas ek nigah-e-tawajjoh pe is tarah KHush hun

ki jaise daulat-e-kaunain luT li main ne

dhaDak raha tha mere har-nafas mein dil un ka

suni qarib se aawaz dur ki main ne

zamana ta-ba-abad un ko bhar nahin sakta

jigar pe khae hain wo zaKHm-e-dosti main ne

tere jamal ki sar-mastiyon mein gum ho kar

har ek saat-e-hasti guzar di main ne

KHuda-e-do-jahan is jurm ko muaf kare

uDai hai lab-e-gul-rang ki hansi main ne

'hamid' mujh ko zamana bhula nahin sakta

bana liya hai mohabbat ko zindagi main ne

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qubul Kar Ke Tera Gham KHushi KHushi Maine In English By Famous Poet Hameed Nag Puri. Qubul Kar Ke Tera Gham KHushi KHushi Maine is written by Hameed Nag Puri. Read famous Poem Qubul Kar Ke Tera Gham KHushi KHushi Maine for youth and Student by Hameed Nag Puri. Free Download Qubul Kar Ke Tera Gham KHushi KHushi Maine in PDF.