Tabassum Mein Na Dhal Jata Gudaz Gham To Kya Karte

tabassum mein na Dhal jata gudaz gham to kya karte

ki ye shoala na ban jata agar shabnam to kya karte

luTa dete na apni zindagani hum to kya karte

nigah-e-lutf ka hota wahi aalam to kya karte

yunhi dair-o-haram ki manzilon mein Thokaren khate

sahaara gar na deti laghzish-e-paiham to kya karte

'hamid' achchha hua KHwab-e-tilism-e-arzu TuTa

ki ye mahfil na ho jati barham to kya karte

(716) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tabassum Mein Na Dhal Jata Gudaz Gham To Kya Karte In English By Famous Poet Hameed Nag Puri. Tabassum Mein Na Dhal Jata Gudaz Gham To Kya Karte is written by Hameed Nag Puri. Read famous Poem Tabassum Mein Na Dhal Jata Gudaz Gham To Kya Karte for youth and Student by Hameed Nag Puri. Free Download Tabassum Mein Na Dhal Jata Gudaz Gham To Kya Karte in PDF.