Be-karan Dariya Hun Gham Ka Aur Tughyani Mein Hun

be-karan dariya hun gham ka aur tughyani mein hun

sab haden hain phir bhi qaem kab se hairani mein hun

shab ki tanhai mein mujh ko aisa lagta hai kabhi

main hun ruh-e-zindagi go paikar-e-fani mein hun

jagmagati mahfil-e-aflak mera aks-e-zat

lau main hun anjum ki main suraj ki tabani mein hun

subh-gahan dasht o gulshan mein nasim-e-narm-mauj

bich dariya ke bhanwar hun aur jaulani mein hun

sham-e-bazm-e-dil-baran hai meri dil-sozi ki zau

main dil-e-ashiq ke KHwabon ki gul-afshani mein hun

log kyun is shahr ke itne pareshan-haal hain

main ki KHush-dil tha sada ka is pareshani mein hun

main ki hun ek KHush-fahm sada-lauh tifl-e-pir-sal

aur phir ziddi bhi hun KHush apni nadani mein hun

kya KHabar mera safar hai aur kitni dur ka

kaghzi ek naw hun aur tez-rau pani mein hun

husn-e-kul ka aarzu-mand is tunuk-jaani mein hun

mere qad se jo bahut uncha hai us pani mein hun

(836) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-karan Dariya Hun Gham Ka Aur Tughyani Mein Hun In English By Famous Poet Hameed Naseem. Be-karan Dariya Hun Gham Ka Aur Tughyani Mein Hun is written by Hameed Naseem. Read famous Poem Be-karan Dariya Hun Gham Ka Aur Tughyani Mein Hun for youth and Student by Hameed Naseem. Free Download Be-karan Dariya Hun Gham Ka Aur Tughyani Mein Hun in PDF.