Hai Yak Do Nafas Sair-e-jahan-e-guzran Aur

hai yak do nafas sair-e-jahan-e-guzran aur

ai shauq koi rang-e-nashat-e-dil-o-jaan aur

aasudgi-amoz ho jab aabla-pai

ho jati hai manzil ki lagan dil mein tapan aur

sang-e-nigah-e-shauq hai yaksani-e-taghir

har lahza nai rut ho bahaar aur KHizan aur

besh-az-nigah-e-kam nahin pihna-e-shab-o-roz

ai aalam-e-imkan koi nadida-jahan aur

ye arz o sama nang hain manind-e-kaf-e-dast

ek dasht ba-andaza-e-chashm-e-nigran aur

taufiq faqat mujh ko hua jada-e-ehsas

ya qafile is tera KHala mein hain rawan aur

aagahi-e-mutlaq jo nahin hai mera maqdur

ek mohlat-e-fariyaad sar-e-kaun-o-makan aur

dil wasl ki lazzat ka talabgar hai lekin

takmil-e-tamanna gham-e-furqat hai to han aur

(708) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Yak Do Nafas Sair-e-jahan-e-guzran Aur In English By Famous Poet Hameed Naseem. Hai Yak Do Nafas Sair-e-jahan-e-guzran Aur is written by Hameed Naseem. Read famous Poem Hai Yak Do Nafas Sair-e-jahan-e-guzran Aur for youth and Student by Hameed Naseem. Free Download Hai Yak Do Nafas Sair-e-jahan-e-guzran Aur in PDF.