Sawal Dil Ka Sham-e-gham Ko Aur Udas Kar Gaya

sawal dil ka sham-e-gham ko aur udas kar gaya

tere wajud mein jo ek main tha wo kidhar gaya

tilism-e-shauq fikr-e-zinda aur karb-e-agahi

tamam umr ka safar nigah se guzar gaya

chale to hausla jawan tha mauj-e-gul thi aarzu

jidhar bhi aankh uTh gai saman nikhar nikhar gaya

kabhi andheri shab mein ek muhib dasht samne

kabhi mah-e-tamam sath sath ta-sahar gaya

har ek daur munfarid tha ab bhi dil pe naqsh hai

gaya to yun laga ki ji ka ek hissa mar gaya

na yaad ki chubhan koi na koi lau malal ki

main jaane kitni dur yunhi KHud se be-KHabar gaya

nigah-e-dost dil-nawaz bhi girah-kusha bhi thi

khula jo dil pe zindagi ka bhed ji Thahar gaya

jahan wajud mein tha main ab ek aur nam hai

ki mera bigDa hua kaam us ke lutf se sanwar gaya

wo sail-e-nur shab ki ibtida se ta-sahar gaya

dil us ke bal pe apne bahr-e-gham ke par utar gaya

(817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sawal Dil Ka Sham-e-gham Ko Aur Udas Kar Gaya In English By Famous Poet Hameed Naseem. Sawal Dil Ka Sham-e-gham Ko Aur Udas Kar Gaya is written by Hameed Naseem. Read famous Poem Sawal Dil Ka Sham-e-gham Ko Aur Udas Kar Gaya for youth and Student by Hameed Naseem. Free Download Sawal Dil Ka Sham-e-gham Ko Aur Udas Kar Gaya in PDF.