Subh Chale To Zauq-e-talab Tha Arsh-nishan KHurshid-shikar

subh chale to zauq-e-talab tha arsh-nishan KHurshid-shikar

manzil-e-sham aai to hum hain aur shikaston ke ambar

dil ki nadani to dekho kya kya arman rakhta hai

jaise dawam ka aaina ho lamhon ki girti diwar

zist sahi ek tera shabistan lekin yaro shola-e-shauq

ek do nafas to aisa bhaDka tur-misal tha dil ka dayar

kal tak main aur tu the baham raqs-e-saba aur KHanda-e-gul

aaj tere lab yas-guzida mera harf-e-shauq figar

zamzama-o-ahang ki duniya kya yaksar viran hui

mahfil mahfil hu ka saman hai chehra chehra sang-e-mazar

yun bhi aage rah kaThin hai aur athah andhera hai

ai mazi ke shahr-e-charaghan yun na mujhe pichhe se pukar

sang-o-salib hain maidan maidan aur hujum-e-jaan-bazan

kaisi dhum se aaya ab ke marg-e-tamanna ka tyauhaar

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subh Chale To Zauq-e-talab Tha Arsh-nishan KHurshid-shikar In English By Famous Poet Hameed Naseem. Subh Chale To Zauq-e-talab Tha Arsh-nishan KHurshid-shikar is written by Hameed Naseem. Read famous Poem Subh Chale To Zauq-e-talab Tha Arsh-nishan KHurshid-shikar for youth and Student by Hameed Naseem. Free Download Subh Chale To Zauq-e-talab Tha Arsh-nishan KHurshid-shikar in PDF.