Tarab Se Ho Aaya Hun Aur Yas Ki Tah Tak Dub Chuka Hun

tarab se ho aaya hun aur yas ki tah tak Dub chuka hun

dur hun apni khoj se ab tak kab se KHud ko DhunD raha hun

main hun ye ghaTta phailta saya main ye kaise ho sakta hun

waqt ke sayyal aaine mein kaun hai kis ko dekh raha hun

dil ke kisi pinhan goshe mein an-jaani koi haar chhipi hai

jaan tapak hain teri baaten main be-baat bhaTak jata hun

dekhte dekhte tera chehra aur ek chehra ban jata hai

ek manus malul sa chehra kab dekha tha bhul gaya hun

ek lamhe ne mujh se kaha tha tu hi azal hai tu hi abad hai

lamha bita baat gai is KHwab se kab ka chaunk uTha hun

dida-e-wa ke damakte KHwabo mere sath chaloge kab tak

tum ki wafur-e-rang-o-nawa ho main ki shikast-e-dil ki sada hun

KHak uDti hai lab-bosi ko tare aankh ko chhu lete hain

qurb ka KHwahan mujh se zamana main tanha hun main tanha hun

(696) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tarab Se Ho Aaya Hun Aur Yas Ki Tah Tak Dub Chuka Hun In English By Famous Poet Hameed Naseem. Tarab Se Ho Aaya Hun Aur Yas Ki Tah Tak Dub Chuka Hun is written by Hameed Naseem. Read famous Poem Tarab Se Ho Aaya Hun Aur Yas Ki Tah Tak Dub Chuka Hun for youth and Student by Hameed Naseem. Free Download Tarab Se Ho Aaya Hun Aur Yas Ki Tah Tak Dub Chuka Hun in PDF.