Ek Rose Jo Gulshan Mein Wo Jaan-e-bahaar Aae

ek rose jo gulshan mein wo jaan-e-bahaar aae

kaliyon pe shabab aae phulon pe nikhaar aae

nazron ke tasadum mein thin zabt ki takiden

kya jaane samajh kar gaya hum dil ko bhi haar aae

ehsas-e-takabbur mein had se na guzar jaen

shayad isi matlab se phulon mein bhi KHar aae

tauba ke taqaddus ka qail to hun main lekin

paimana baDha dena jab abr-e-bahaar aae

achchha hua 'hamid' ka duniya se guzar jaana

ek bojh tha jo sar se ahbab utar aae

(854) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Rose Jo Gulshan Mein Wo Jaan-e-bahaar Aae In English By Famous Poet Hamid Allahabadi. Ek Rose Jo Gulshan Mein Wo Jaan-e-bahaar Aae is written by Hamid Allahabadi. Read famous Poem Ek Rose Jo Gulshan Mein Wo Jaan-e-bahaar Aae for youth and Student by Hamid Allahabadi. Free Download Ek Rose Jo Gulshan Mein Wo Jaan-e-bahaar Aae in PDF.