Sahra Mein Har Taraf Hai Wahi Shor-e-al-atash

sahra mein har taraf hai wahi shor-e-al-atash

dariya ka ruKH badal na sake log aaKHirash

pae gae hain ek KHat-e-mustaqim par

yaksan hain ab hamari nazar mein jahat-e-shash

ruKH se haqiqaton ke hijabaat uTh gae

ab e'tibar-e-did pe khaega kaun ghash

wo iKHtiyar-e-did ki surat nahin rahi

dil se nikal chuka hai har ek tir-e-nim-kash

ai aaftab-e-subh faraghat idhar kahan

hum log pi rahe hain abhi zahr-e-kashmakash

'hamid' harim-e-zat mein KHud apni dekhiye

aaKHir chhupa hua hai yahan kaun barq-wash

(701) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahra Mein Har Taraf Hai Wahi Shor-e-al-atash In English By Famous Poet Hamid Husain Hamid. Sahra Mein Har Taraf Hai Wahi Shor-e-al-atash is written by Hamid Husain Hamid. Read famous Poem Sahra Mein Har Taraf Hai Wahi Shor-e-al-atash for youth and Student by Hamid Husain Hamid. Free Download Sahra Mein Har Taraf Hai Wahi Shor-e-al-atash in PDF.