Judaiyon Ke Tasawwur Hi Se Rulaun Use
judaiyon ke tasawwur hi se rulaun use
main jhuT-muT ka qissa koi sunaun use
use yaqin hai kitna meri wafaon ka
KHilaf apne kisi roz warghlaun use
wo tapti dhup mein bhi sath mere aaega
magar main chandni raaton mein aazmaun use
ghamon ke sahra mein phirta rahun use le kar
udasiyon ke samundar mein sath laun use
maza to jab hai use bhiD mein kahin kho dun
phir is ke baad kahin se mein DhunD laun use
ye kya ki roz wahi soch par musallat ho
kabhi to aisa ho kuchh der bhul jaun use
kuchh aur KHwab bhi us se chhupa ke dekhe hain
kuchh aur chehre nigahon mein hain dikhaun use
wo gili miTTi ki manind hai magar 'hamid'
zaruri kya hai ki apna hi sa banaun use
(1235) Peoples Rate This