Koi Nahin Tha Hunar-ashna Tumhaare Baad

koi nahin tha hunar-ashna tumhaare baad

main apne-ap se uljha raha tumhaare baad

ye meri aankhen baDi tez raushni mein khulin

main chahta bhi to kya dekhta tumhaare baad

har ek baat hai uljhi hui zaban tale

har ek lafz koi bad-dua tumhaare baad

baDe qarine se rishte sajae the sare

bikhar bikhar gaya har silsila tumhaare baad

to kya kashish bhi meri le gae tum apne sath

koi to dekhta chehra mera tumhaare baad

tumhaare baad KHizan ho bahaar ho kuchh ho

kahan ruton se mera sabiqa tumhaare baad

bas ek lamha-e-hijran Thahar gaya mujh mein

na waqia na koi saneha tumhaare baad

ye zindagi ka naya zawiya khula mujh par

main KHud se kitna qarib aa gaya tumhaare baad

mere mizaj ki ye be-usuliyan chahen

tumhaare jaisa koi dusra tumhaare baad

wo rang rang-e-tabiat suKHan-suKHan 'hamid'

suno wo shaKHs kahin kho gaya tumhaare baad

(1432) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Nahin Tha Hunar-ashna Tumhaare Baad In English By Famous Poet Hamid Iqbal Siddiqui. Koi Nahin Tha Hunar-ashna Tumhaare Baad is written by Hamid Iqbal Siddiqui. Read famous Poem Koi Nahin Tha Hunar-ashna Tumhaare Baad for youth and Student by Hamid Iqbal Siddiqui. Free Download Koi Nahin Tha Hunar-ashna Tumhaare Baad in PDF.