Apne Hisar-e-jism Se Bahar Bhi Dekhte

apne hisar-e-jism se bahar bhi dekhte

hum aaine ke samne ho kar bhi dekhte

aks-e-falak se TuTta kaise jumud aap

patthar gira ke jhil ke andar bhi dekhte

karte palaT ke apne hi sae se guftugu

sahra mein zard-rang samundar bhi dekhte

duniya ka KHauf tha to lagate na aag hi

ya mom ka pighalta hua ghar bhi dekhte

'hamid' tamam umr ye KHwahish rahi hamein

apne badan ki marg ka manzar bhi dekhte

(815) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Hisar-e-jism Se Bahar Bhi Dekhte In English By Famous Poet Hamid Jeelani. Apne Hisar-e-jism Se Bahar Bhi Dekhte is written by Hamid Jeelani. Read famous Poem Apne Hisar-e-jism Se Bahar Bhi Dekhte for youth and Student by Hamid Jeelani. Free Download Apne Hisar-e-jism Se Bahar Bhi Dekhte in PDF.