Dekhne Wale Ko Bahar Se Guman Hota Nahin

dekhne wale ko bahar se guman hota nahin

aag kuchh aise lagai hai dhuan hota nahin

apne hone ki KHabar deta hai KHushbu se mujhe

phailta hai chaar-su aur darmiyan hota nahin

raushni kar de tamasha-gah se dahshat miTe

kohr itna hai ki pas-e-manzar ayan hota nahin

sochna chaho to zer-e-pa mile haft-asman

dekhna chaho to zine ka nishan hota nahin

muntazir rahne se 'hamid' qufl ko zarben laga

aap hi khul jae dar aisa yahan hota nahin

(778) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekhne Wale Ko Bahar Se Guman Hota Nahin In English By Famous Poet Hamid Jeelani. Dekhne Wale Ko Bahar Se Guman Hota Nahin is written by Hamid Jeelani. Read famous Poem Dekhne Wale Ko Bahar Se Guman Hota Nahin for youth and Student by Hamid Jeelani. Free Download Dekhne Wale Ko Bahar Se Guman Hota Nahin in PDF.