Din Ko Na Ghar Se Jaiye Lagta Hai Dar Mujhe

din ko na ghar se jaiye lagta hai Dar mujhe

is para-e-sahab ko suraj na dekh le

us hath ki mahak se mere hath shal hue

us qurb se mile mujhe sadiyon ke fasle

meri lawen bujha na sakin tez aandhiyan

jhonkon ki naram dhaar se kohsar kaT gae

apni sada ko rok lo kya is se faeda

Dhalwan par bhala kabhi patthar Thahar sake

'hamid' ajab ada se kiya KHun ne safar

palkon ko surKH kar gae panw ke aable

(648) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Din Ko Na Ghar Se Jaiye Lagta Hai Dar Mujhe In English By Famous Poet Hamid Jeelani. Din Ko Na Ghar Se Jaiye Lagta Hai Dar Mujhe is written by Hamid Jeelani. Read famous Poem Din Ko Na Ghar Se Jaiye Lagta Hai Dar Mujhe for youth and Student by Hamid Jeelani. Free Download Din Ko Na Ghar Se Jaiye Lagta Hai Dar Mujhe in PDF.