Koi Dud Se Ban Jata Hai Wajud

aadhi raat ko phone baja

aur ubhri ek an-jaani maghlub sada

apni chiKH ki dahshat se

abhi abhi wo jagi hai malum hua

baizawi chehra

be-surat

sar par muDe-tuDe do sing

aur sine ke wast mein ek

panj-koni aankh

aankh ki putli mein mera hi aks muqayyad

aatish-fishan pahaD ki gahrai se ubhar kar

KHuni panje

bhench bhench kar

khurdure lahje mein wo chiKHa

apni marzi ki to subh bistar par

jism nahin

makDi ka jala paogi

mera hukm hai aa jao

aur barahna hote hi

mujh ko chhu kar

mere jaisi ban jao

aa jao

aa jao

aa jao

(721) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Dud Se Ban Jata Hai Wajud In English By Famous Poet Hamid Jeelani. Koi Dud Se Ban Jata Hai Wajud is written by Hamid Jeelani. Read famous Poem Koi Dud Se Ban Jata Hai Wajud for youth and Student by Hamid Jeelani. Free Download Koi Dud Se Ban Jata Hai Wajud in PDF.