Maal-e-dil Ke Liye Aaj Yun KHudi Tarse

maal-e-dil ke liye aaj yun KHudi tarse

ki zindagi ke liye jaise zindagi tarse

KHirad-ba-dosh hai tahzib-e-nau magar phir bhi

junun-ba-daman tamaddun ko aagahi tarse

jo apna KHun-e-jigar pi ke mast ho jaen

ab aise zarf-paraston ko tishnagi tarse

hai ab bhi silsila-e-dosti jahan mein magar

wafa-shanas mohabbat ko dosti tarse

maqam-e-zabt gham-e-ishq mein wo paida kar

ki tu KHushi ko na tarse tujhe KHushi tarse

rah-e-wafa mein mujhe kash aisi maut mile

ki baad-e-marg mujhe meri zindagi tarse

jahan mein ahl-e-suKHan kam nahin magar 'hamid'

taKHayyulat-e-haqiqat ko shairi tarse

(791) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maal-e-dil Ke Liye Aaj Yun KHudi Tarse In English By Famous Poet Hamid Mukhtar Hamid. Maal-e-dil Ke Liye Aaj Yun KHudi Tarse is written by Hamid Mukhtar Hamid. Read famous Poem Maal-e-dil Ke Liye Aaj Yun KHudi Tarse for youth and Student by Hamid Mukhtar Hamid. Free Download Maal-e-dil Ke Liye Aaj Yun KHudi Tarse in PDF.