Mujhse Ye Pyas Ka Sahra Nahin Dekha Jata

mujh se ye pyas ka sahra nahin dekha jata

roz ab KHwab mein dariya nahin dekha jata

zarf ka aks kahin aur hi chal kar dekhen

aainon mein to ye chehra nahin dekha jata

tu hansi le ke meri aankh ko aansu de de

mujh se sukha hua dariya nahin dekha jata

dil ke auraq ki tahrir paDhi jati hai

un ke darbar mein sajda nahin dekha jata

pursish-e-gham ki sabhi rasm hain baqi lekin

in charaghon mein ujala nahin dekha jata

ahmiyat johd-e-musalsal ki nahin kam 'hamid'

sirf taqdir ka likhkha nahin dekha jata

(641) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhse Ye Pyas Ka Sahra Nahin Dekha Jata In English By Famous Poet Hamid Mukhtar Hamid. Mujhse Ye Pyas Ka Sahra Nahin Dekha Jata is written by Hamid Mukhtar Hamid. Read famous Poem Mujhse Ye Pyas Ka Sahra Nahin Dekha Jata for youth and Student by Hamid Mukhtar Hamid. Free Download Mujhse Ye Pyas Ka Sahra Nahin Dekha Jata in PDF.