Har ShaKHs Apne Aap Mein Sahma Hua Sa Hai

har shaKHs apne aap mein sahma hua sa hai

dekho to shahar socho to viraniyan bahut

leTa hua pangoDe mein takta hai aasman

likkhi hui hain aankhon mein hairaniyan bahut

zaid-gan-e-shab ko gawara nahin sahar

Dasti hain un ko subh ki tabaniyan bahut

den kaise us ka hath zamane ke hath mein

ab tak to ki hain us ki nigahbaniyan bahut

pal-bhar KHushi bhi hum ne ghanimat shumar ki

rahti hain yun bhi dil ko pareshaniyan bahut

kin pattharon se hum ne tarashe hain roz-o-shab

kaam aa gain hamari garan-jaaniyan bahut

(622) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har ShaKHs Apne Aap Mein Sahma Hua Sa Hai In English By Famous Poet Hamid Sarosh. Har ShaKHs Apne Aap Mein Sahma Hua Sa Hai is written by Hamid Sarosh. Read famous Poem Har ShaKHs Apne Aap Mein Sahma Hua Sa Hai for youth and Student by Hamid Sarosh. Free Download Har ShaKHs Apne Aap Mein Sahma Hua Sa Hai in PDF.