Shahr-e-tarab Mein Aaj Ajab Hadisa Hua

shahr-e-tarab mein aaj ajab hadisa hua

hanste mein us ki aankh se aansu chhalak paDa

hairan ho ke soch raha tha ki kya kahun

ek shaKHs mujh se mera pata puchhne laga

haala nahin hai aatish-e-furqat ki aanch hai

tara na tha to chand ka pahlu sulag uTha

ab yaad bhi nahin ki shikayat thi un se kya

bas ek KHayal zehn ke goshe mein rah gaya

kitne hi tare TuT ke daman mein aa gire

jab chaudhwin ka chand ghaTaon mein ja chhupa

baad-e-KHizan chaman se shabistan tak aa gai

takiye ka surKH phul bhi murjha ke rah gaya

socha tha us se dur kahin ja basenge hum

lekin 'sarosh' hum se peshawar na chhuT saka

(728) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr-e-tarab Mein Aaj Ajab Hadisa Hua In English By Famous Poet Hamid Sarosh. Shahr-e-tarab Mein Aaj Ajab Hadisa Hua is written by Hamid Sarosh. Read famous Poem Shahr-e-tarab Mein Aaj Ajab Hadisa Hua for youth and Student by Hamid Sarosh. Free Download Shahr-e-tarab Mein Aaj Ajab Hadisa Hua in PDF.