Sans Lene Ke Liye Taza Hawa Bheji Hai

sans lene ke liye taza hawa bheji hai

zindagi ke liye masum dua bheji hai

main ne bheji thi gulabon ki bashaarat us ko

tohfatan us ne bhi KHushbu-e-wafa bheji hai

main to qatil tha bari ho ke bhi qatil hi raha

mujh ko insaf ne jine ki saza bheji hai

kitne gham hain jo sar-e-sham sulag uThte hain

chaara-gar tu ne ye kis dukh ki dawa bheji hai

marhale aur bhi the jaan se guzarne ke liye

karbala kis ne pas-e-karb-o-bala bheji hai

(883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sans Lene Ke Liye Taza Hawa Bheji Hai In English By Famous Poet Hamid Sarosh. Sans Lene Ke Liye Taza Hawa Bheji Hai is written by Hamid Sarosh. Read famous Poem Sans Lene Ke Liye Taza Hawa Bheji Hai for youth and Student by Hamid Sarosh. Free Download Sans Lene Ke Liye Taza Hawa Bheji Hai in PDF.