Lughat Mahdud Hai

udasi baat karti hai kisi anjaan boli mein

sukun ka phul dil ke shaKHchon se toD leti hai

ye nindon ko uTha leti hai aankhon ke kaToron se

kabhi khoi hui yaaden kahin se khoj lati hai

bahut si an-kahi baaten kahin se gher lati hai

hatheli par saja lati hai wo sukhe hue patte

rachi hai jin ke reshon mein koi bhuli hui KHushbu

likhe hain jin pe guzre mausamon ke dil-nashin lamhe

purane se purana qufl pal mein khol deti hai

udasi ja utarti hai

badan ke un jaziron par

jinhen viran rakhna ho

udasi TimTimati hai

lahu ke un ilaqon mein

jinhen tarik rakhna ho

(975) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lughat Mahdud Hai In English By Famous Poet Hamida Shahin. Lughat Mahdud Hai is written by Hamida Shahin. Read famous Poem Lughat Mahdud Hai for youth and Student by Hamida Shahin. Free Download Lughat Mahdud Hai in PDF.